Sunday, February 12, 2017

Taroon ki Baraat


By Raza Elahi

This is what I have to say about February 14, which many celebrate as Valentine’s Day:

Kahte hain log ke aaj Yaum-e-Ushshaaq hai

Sochtae hain hum ke ye kaisa mazaak hai


Jab sachche husn aur ishq ki baat hai

To phir ye kaisa ek roza bandish-e-mulaqaat hai


Gulab ke phool liye jo aaj pur tapaak hain

Kal kahenge hava-e-dahr ka ye sirf ishtiyaaq hai


Jab sachche husn aur ishq ki baat hai

To unse har mulaqaat mushtaaq hai


Lamha lamha dars-e-akhlaaq hai

Mahfil unki gulfaam aur sab yaddain ufaq hai


Jab sachche husn aur ishq ki baat hai

To phir kya din aur kya raat hai


Har subh Yaum-e-Ushshaaq hai

Aur har shab taroon ki baraat hai

(Meanings of some words used above: Yaum-e-Ushshaaq = Valentine's Day; Ek roza = one day: Pur-tapaak = full of warmth, zeal; Hava-e-dahr = wind of world; Ishtiyaaq= longing, fondness; Mushtaaq = desirous/ eager; Dars-e-akhlaaq = moral lesson; Gulfaam= rose coloured; Ufaq = horizon)

elahi.raza82@gmail.com

2 comments:

  1. Kya khoob likha h.. 😊😊
    Satya vachan.. or har din hi pyaar ka din hai..

    ReplyDelete
  2. Bahut khub.

    Ek din mohabbat ke nam na kar ke
    Kyun nahi har din ko Valentine karen
    ایک دن محبت کے نام نا کر کے
    کیوں نا ہر دن کو ویلنٹائن کریں
    एक दिन मोहब्बत के नाम ना कर के
    क्यूँ नही हर दिन को वैलंटाइंस करें

    ReplyDelete