Wednesday, November 29, 2017

Rashq-e-Qamar


By Raza Elahi

Ye kaisa rumuuz-e-ishq hai

Tu duur hai par dil ke qareeb hai


Sochtaa hoon naama-bar ke har aahat par

Kya payaam-e-shauq mere nasib hai


Manzoor unka har maktuub mujhe

Par ye dam-e-intizaar kuch ajib hai


Khugar-e-qafas hoon jis tahriir ka

Nahiin uska koi ab khatiib hai


Nahiin ye takhta-e-mashq-e-sitam unka

Guman nahiin, ye mere yaqiin hai


Yaqiin to ye bhi aye Raza

Kahiin na kahiin, woh bhi qalb-e-muztarib hai


Ye kaisa rumuuz-e-ishq hai

Tu duur hai par dil ke qareeb hai


(elahi.raza82@gmail.com)


Meanings of Some Words Used Above:

Rumuuz-e-ishq = Secret of Love ; Duur = Far; Naama-bar = Messenger, postman; Payaam-e-shauq = Message of love; Maktuub = Letter, message; Khugar-e-qafas = Habituated to cage; Tahrir = Writings; Khatiib= Orator; Takhta-e-mashq-e-sitam = Act of tyranny; Qalb-e-muztarib = Restless heart

Monday, November 27, 2017

Not A Thorny Issue !


By Raza Elahi

Na jaane bagho.N se ye kaisi shanaasaaii hai

Har gul se teri ek ada yaad aayii hai


Ab ke patjhar bhi kuch ajab rang main aaya

Girte patto.N ne teri tasweer jo banaii hai


Kaanto.N ne bhi kuch nai sifat paii hai

Mujhko meri hi ek kahaani sunaii hai


Jab ke baarish main nikala tha chubha kaanta

Bhula nahi jo ab bhi, wo unke talvo.N ki raanaaii hai


Na jaane bagho.N se ye kaisi shanasaaii hai

Har gul se teri ek ada yaad aayii hai

{elahi.raza82@gmail.com)

Meanings of Some Words Used Above

Shanaasaaii = Acquaintance; Patto.N = Leaves; Sifat =Charachter; talvo.N = Sole; raanaaii= Beauty