Taroon ki Baraat
By Raza Elahi
This is what I have to say about February 14, which many celebrate as Valentine’s Day:
Kahte hain log ke aaj Yaum-e-Ushshaaq hai
Sochtae hain hum ke ye kaisa mazaak hai
Jab sachche husn aur ishq ki baat hai
T
o phir ye kaisa ek roza bandish-e-mulaqaat hai
Gulab ke phool liye jo aaj pur tapaak hain
K
al kahenge hava-e-dahr ka ye sirf ishtiyaaq hai
Jab sachche husn aur ishq ki baat hai
To unse har mulaqaat mushtaaq hai
Lamha lamha dars-e-akhlaaq hai
Mahfil unki gulfaam aur sab yaddain ufaq hai
Jab sachche husn aur ishq ki baat hai
To phir kya din aur kya raat hai
Har subh Yaum-e-Ushshaaq hai
Aur har shab taroon ki baraat hai
(M
eanings of some words used above: Yaum-e-Ushshaaq = Valentine's Day;
Ek roza = one day:
Pur-tapaak = full of warmth, zeal;
Hava-e-dahr = wind of world;
Ishtiyaaq= longing, fondness;
Mushtaaq = desirous/ eager;
Dars-e-akhlaaq = moral lesson;
Gulfaam= rose coloured;
Ufaq = horizon)
elahi.raza82@gmail.com
Kya khoob likha h.. 😊😊
ReplyDeleteSatya vachan.. or har din hi pyaar ka din hai..
Bahut khub.
ReplyDeleteEk din mohabbat ke nam na kar ke
Kyun nahi har din ko Valentine karen
ایک دن محبت کے نام نا کر کے
کیوں نا ہر دن کو ویلنٹائن کریں
एक दिन मोहब्बत के नाम ना कर के
क्यूँ नही हर दिन को वैलंटाइंस करें