By Raza Elahi
As Hindus across India celebrate the festival of lights - where they light oil lamps and candles to symbolise the triumph of light over darkness and good over evil -
here goes my poetic compositions on this beautiful day.
--------------
Diye to diye dil jagmaga rahe hain
Kya khoob hai ke sab muskura rahe hain
Hai ye jalva-e-bahisht bar-ru-e-zamii.n
Jo mil ke aaj sab Diwali mana rahe hain
#RAZA ELAHI
(* jalva-e-bahisht bar-ru-e-zamii.n = display of Paradise on the earth)
The name Diwali is derived from the Sanskrit word dipavali, which means ‘row of lights’ that people light outside their homes to symbolise the inner light that protects them from spiritual darkness.
More than 500 couplets by many Urdu poets like Nazeer Akbarabadi, Haider Bayabani, Hafeez Banarasi and Jameel Mazhari etc., have captured the essence of this important day. Below are some Urdu couplets written on Diwali:
Meri saañsoñ ko giit aur aatmā ko saaz detī hai
Ye diwali hai sab ko jiine kā andaaz detī hai
Sabhī ke diip sundar haiñ hamaare kyā tumhāre kyā
Ujaala har taraf hai iss kinaare uss kinaare kyā
Gagan kī jagmagaahaT paḌ ga.ī hai aaj maddham kyuuñ
MuñDeroñ aur chhajjoñ par utar aa.e haiñ taare kyā
#Hafeez Banarasi
Hai dasahre mein bhi yuuñ go farhat-o-zīnat 'Nazīr'
Par Diwali bhi ajab paakīza-tar tyauhār hai
#Nazeer Akbarabadi
Samet lein mah-o-khursheed roshnii apni
Salahiyat hai zameen mein bhi jagmagaane ki
#Mazhar Imam
Diwali ke diip jale haiñ
Yaar se milne yaar chale haiñ
Chaaroñ jaanib dhūm-dhaḌākā
Chhote rocket aur pataaḳha
Ghar mein phul-jhaḌiyāñ chhūTe
Man hi man mein laddu phuute
Diip jale haiñ ghar āñgan mein
Ujyaaraa ho jaa.e man mein
Apnoñ kī to baat alag hai
Aaj to saare ġhair bhale haiñ
Diwali ke diip jale haiñ
#Haider Bayabani
(Above two pics are the nastaliq version of my poetry)
(elahi.raza82@gmail.com)