By Raza Elahi
Un se koi ab guftuguu hi nahi
Bagh main pahle si rang-o-buu hi nahi
Ajeeb daa.era-vaar hai ye zindagi
Ke jeene ki ab justujuu hi nahi
Malka-e-husn hain vo aur ahl-e-Urdu bhi
Iss faqir ki achchi shaayad Urdu hi nahi
Iss faqir ki achchi shaayad Urdu hi nahi
Ahd-e-tark-e-ishq koi unse seekhe
Bazm main mujhse vo ru-ba-ruu hi nahi
Khavbon main aane se bhi unhe gurez
Aur bahr-e-maatam khum-o-subuu hi nahi
(Daa.era-vaar = arranged in circles
Gurez = avoid, escape