Friday, September 6, 2019

In Silence


By Raza Elahi

Na kisi se mera hisaab hai

Na koi ab mera khavaab hai


Bichha.dte waqt to savaal tha

Khamoshii ab mera javaab hai


Gum hoo.n usi ke gumaa.n mai.n

Jo mera qadah-e-sharab hai


Rahta hoo.n jis safar mai.n

Woh mera gasht-e-kohsaar hai


Woh bhul gaye koi gunaah nahii.n

Mujhe yaad, yeh mera savaab hai


Is pech-o-taab-e-shauq mai.n

Dewaana jo ab mera khitaab hai

------------------------------------------------------------------------------------

bichha.dte = parting; gumaa.n = doubt, distrust; qadah-e-sharab = goblet of wine; safar = journey; gasht-e-kohsaar = moving around mountains; gunaah = sin; savaab = reward of good deeds; pech-o-taab-e-shauq = twists and turn of love; khitaab = title

(elahi.raza82@gmail.com)

No comments:

Post a Comment