By Raza Elahi
Hamesha hanste muskuraate raho
Chiraagho.n se chiraagh jalaate raho
Khushiyaa.n tere sar chuume.n gi
Har saal yuu.nhii Diwali manaate raho
Siyah daagh bahut hai.n desh par
Tum in siyahii ko yuu.nhii mitaate raho
Roshan jazbo.n ki hai pahchaan yahi
Iss pahchaan ka parcham lehraate raho
Fareb-o-makkaarii ke iss daur mai.n
Mohabbat ka paighaam sunaate raho
Safar hoga aasaan tareek raaho.n par bhi
Dil se dil ki jyoti jo tum jagmagaate raho
Chiraagho.n se chiraagh jalaate raho
Har saal yuu.nhii Diwali manaate raho
Meanings of some words used in the poem
(
Chiraagho.n = lights, lamps;
Chuume.n = kiss;
Siyah = dark;
Siyahii = darkness;
Jazbo.n = passion;
Parcham = flag;
Paighaam = message;
Fareb-o makkaarii = deception & untrustworthy;
Daur = age, time;
Safar = journey;
Tareek = dark;
Raaho.n = path)
(elahi.raza82@gmail.com)
No comments:
Post a Comment